office mein bhi ghar ko khula pata hun main
office meñ bhī ghar ko khulā paatā huuñ maiñ
Table par sar rakh kar so jaatā huuñ maiñ
galī galī maiñ apne aap ko DhūñDtā huuñ
ik ik khiḌkī meñ us ko paatā huuñ maiñ
apne sab kapḌe us ko de aatā huuñ
us kā nañgā jism uThā laatā huuñ maiñ
bas ke nīche koī nahīñ aatā phir bhī
bas meñ baiTh ke behad ghabrātā huuñ maiñ
marnā hai to saath saath hī chalte haiñ
Thahar zarā ghar jā ke abhī aatā huuñ maiñ
gaaḌī aatī hai lekin aatī hī nahīñ
rail kī paTrī dekh ke thak jaatā huuñ maiñ
'alvī' pyāre sach sach kahnā kyā ab bhī
usī ko rotā dekh ke yaad aatā huuñ maiñ
office mein bhi ghar ko khula pata hun main
Table par sar rakh kar so jata hun main
gali gali main apne aap ko DhunDta hun
ek ek khiDki mein us ko pata hun main
apne sab kapDe us ko de aata hun
us ka nanga jism uTha lata hun main
bas ke niche koi nahin aata phir bhi
bas mein baiTh ke behad ghabraata hun main
marna hai to sath sath hi chalte hain
Thahar zara ghar ja ke abhi aata hun main
gaDi aati hai lekin aati hi nahin
rail ki paTri dekh ke thak jata hun main
'alwi' pyare sach sach kahna kya ab bhi
usi ko rota dekh ke yaad aata hun main
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 99)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.