pa kam nahin tere paiman se bhare hue hum
pa kam nahīñ tire paimān se bhare hue ham
ki sub.h-o-shām dil-o-jān se bhare hue ham
tirī galī nahīñ aate to phir kahāñ jaate
shikastagī meñ bhī imkān se bhare hue ham
yahī shu'ūr vadī’at hai un nigāhoñ se
bahut hai kufr pa īmān se bhare hue ham
ravāñ hai tah meñ hamāre hamārī ḳhāmoshī
nazar jo aate haiñ tūfān se bhare hue ham
har ek pahr koī ḳhvāhish-e-ramīda hai
hazār tarh ke haijān se bhare hue ham
shi'ār rakhte haiñ har rang-o-ā.ine ke liye
suḳhan kī zail meñ ehsān se bhare hue ham
dikhā rahī hai ba-tadrīj hairateñ kyā kyā
kisī kī sūrat-e-anjān se bhare hue ham
pa kam nahin tere paiman se bhare hue hum
ki subh-o-sham dil-o-jaan se bhare hue hum
teri gali nahin aate to phir kahan jate
shikastagi mein bhi imkan se bhare hue hum
yahi shu'ur wadi’at hai un nigahon se
bahut hai kufr pa iman se bhare hue hum
rawan hai tah mein hamare hamari KHamoshi
nazar jo aate hain tufan se bhare hue hum
har ek pahr koi KHwahish-e-ramida hai
hazar tarh ke haijaan se bhare hue hum
shi'ar rakhte hain har rang-o-aine ke liye
suKHan ki zail mein ehsan se bhare hue hum
dikha rahi hai ba-tadrij hairaten kya kya
kisi ki surat-e-anjaan se bhare hue hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.