pa-e-ghair aur mera sar dekho
pā-e-ġhair aur merā sar dekho
TuuT jaa.e na sañg-e-dar dekho
ek aalam paḌā hai chakkar meñ
gardish-e-chashm-e-fitna-gar dekho
maiñ nazar-band ġhair madd-e-nazar
apnā dil aur mirā jigar dekho
chashm pur-nam hai tan ġhubār-ālūd
aan kar sair-e-bahr-o-bar dekho
fikr-e-ifshā-e-rāz kyuuñ na karūñ
kyā hayā-ḳhez hai nazar dekho
hai digar-gūñ marīz-e-ġham kā haal
ho sake to davā bhī kar dekho
ġhair jhalte haiñ ab unheñ pañkhā
asar-e-āh-e-pur-sharar dekho
kam-numā.ī-o-ḳheshtan-bīnī
kitne be-dīd ho idhar dekho
pa-e-ghair aur mera sar dekho
TuT jae na sang-e-dar dekho
ek aalam paDa hai chakkar mein
gardish-e-chashm-e-fitna-gar dekho
main nazar-band ghair madd-e-nazar
apna dil aur mera jigar dekho
chashm pur-nam hai tan ghubar-alud
aan kar sair-e-bahr-o-bar dekho
fikr-e-ifsha-e-raaz kyun na karun
kya haya-KHez hai nazar dekho
hai digar-gun mariz-e-gham ka haal
ho sake to dawa bhi kar dekho
ghair jhalte hain ab unhen pankha
asar-e-ah-e-pur-sharar dekho
kam-numai-o-KHeshtan-bini
kitne be-did ho idhar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.