pa ke ishaare josh-e-numu ke
pā ke ishāre josh-e-numū ke
qāfile nikle haiñ ḳhushbū ke
chaar taraf gulzār ke andar
hañgāme haiñ rañg-o-bū ke
insānī qadroñ ko gañvā kar
ḳhush haiñ bahut shohrat ke bhūke
razm bhī ham se bazm bhī ham se
mālik haiñ ham saif-o-subū ke
tāroñ bharī shab ke dāman par
chhīñTe haiñ ye kis ke lahū ke
urdu meñ urdu kī burā.ī
karte haiñ dushman urdu ke
panja-e-vahshat ko haiñ sikhāne
ai 'jarrār' andāz rafū ke
pa ke ishaare josh-e-numu ke
qafile nikle hain KHushbu ke
chaar taraf gulzar ke andar
hangame hain rang-o-bu ke
insani qadron ko ganwa kar
KHush hain bahut shohrat ke bhuke
razm bhi hum se bazm bhi hum se
malik hain hum saif-o-subu ke
taron bhari shab ke daman par
chhinTe hain ye kis ke lahu ke
urdu mein urdu ki burai
karte hain dushman urdu ke
panja-e-wahshat ko hain sikhane
ai 'jarrar' andaz rafu ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.