paband nahin hain
va.ada kyā kisī baat ke pāband nahīñ haiñ
būḌhe haiñ na jazbāt ke pāband nahīñ haiñ
ḳhvāboñ meñ nikal jaate haiñ armān hamāre
ham din meñ mulāqāt ke pāband nahīñ haiñ
be-vaj.h bhī āñkhoñ meñ umaD aate haiñ aksar
sailāb jo barsāt ke pāband nahīñ haiñ
hālāt kī gardish rahī pāband hamārī
ham gardish-e-hālāt ke pāband nahīñ haiñ
jab vaqt ke pāband nahīñ aap to ham bhī
pābandi-e-auqāt ke pāband nahīñ haiñ
ham rind-e-ḳharābāt haiñ jo chāhe piyeñge
saaqī kī hidāyāt ke pāband nahīñ haiñ
zanjīr liye paañv meñ phirte haiñ sar-e-rāh
dīvāne havālāt ke pāband nahīñ haiñ
hākim ne kahā hai ki vahī hukm ko Tāleñ
jo marg-e-mufājāt ke pāband nahīñ haiñ
mafhūm shab-e-vasl kā samjhāyā to bole
ham aisī kisī raat ke pāband nahīñ haiñ
ye daur taraqqī kā hai ham sharm-o-hayā kī
farsūda rivāyāt ke pāband nahīñ haiñ
ham 'ḳhvāh-maḳhvāh' pāband haiñ aate hue pal ke
guzre hue lamhāt ke pāband nahīñ haiñ
wada kya kisi baat ke paband nahin hain
buDhe hain na jazbaat ke paband nahin hain
KHwabon mein nikal jate hain arman hamare
hum din mein mulaqat ke paband nahin hain
be-wajh bhi aankhon mein umaD aate hain aksar
sailab jo barsat ke paband nahin hain
haalat ki gardish rahi paband hamari
hum gardish-e-haalat ke paband nahin hain
jab waqt ke paband nahin aap to hum bhi
pabandi-e-auqat ke paband nahin hain
hum rind-e-KHarabaat hain jo chahe piyenge
saqi ki hidayat ke paband nahin hain
zanjir liye panw mein phirte hain sar-e-rah
diwane hawalat ke paband nahin hain
hakim ne kaha hai ki wahi hukm ko Talen
jo marg-e-mufajat ke paband nahin hain
mafhum shab-e-wasl ka samjhaya to bole
hum aisi kisi raat ke paband nahin hain
ye daur taraqqi ka hai hum sharm-o-haya ki
farsuda riwayat ke paband nahin hain
hum 'KHwah-maKHwah' paband hain aate hue pal ke
guzre hue lamhat ke paband nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.