pae KHitab kya kya dekhe itab kya kya
paa.e ḳhitāb kyā kyā dekhe itaab kyā kyā
dil ko lagā ke ham ne khīñche azaab kyā kyā
kaaTe haiñ ḳhaak uḌā kar joñ gard-bād barsoñ
galiyoñ meñ ham hue haiñ us bin ḳharāb kyā kyā
kuchh gul se haiñ shagufta kuchh sarv se haiñ qad-kash
us ke ḳhayāl meñ ham dekhe haiñ ḳhvāb kyā kyā
ānvā-e-jurm mere phir be-shumār-o-be-had
roz-e-hisāb leñge mujh se hisāb kyā kyā
ik aag lag rahī hai sīnoñ meñ kuchh na pūchho
jal jal ke ham hue haiñ us bin kabāb kyā kyā
ifrāt-e-shauq meñ to rūyat rahī na mutlaq
kahte haiñ mere muñh par ab shaiḳh-o-shāb kyā kyā
phir phir gayā hai aa kar muñh tak jigar hamāre
guzre haiñ jān-o-dil par yaañ iztirāb kyā kyā
āshufta us ke gesū jab se hue haiñ muñh par
tab se hamāre dil ko hai pech-o-tāb kyā kyā
kuchh sūjhtā nahīñ hai mastī meñ 'mīr'-jī ko
karte haiñ poch-goī pī kar sharāb kyā kyā
pae KHitab kya kya dekhe itab kya kya
dil ko laga ke hum ne khinche azab kya kya
kaTe hain KHak uDa kar jon gard-baad barson
galiyon mein hum hue hain us bin KHarab kya kya
kuchh gul se hain shagufta kuchh sarw se hain qad-kash
us ke KHayal mein hum dekhe hain KHwab kya kya
aanwa-e-jurm mere phir be-shumar-o-be-had
roz-e-hisab lenge mujh se hisab kya kya
ek aag lag rahi hai sinon mein kuchh na puchho
jal jal ke hum hue hain us bin kabab kya kya
ifraat-e-shauq mein to ruyat rahi na mutlaq
kahte hain mere munh par ab shaiKH-o-shab kya kya
phir phir gaya hai aa kar munh tak jigar hamare
guzre hain jaan-o-dil par yan iztirab kya kya
aashufta us ke gesu jab se hue hain munh par
tab se hamare dil ko hai pech-o-tab kya kya
kuchh sujhta nahin hai masti mein 'mir'-ji ko
karte hain poch-goi pi kar sharab kya kya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0668
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.