pai hai talKHiyon se ye sarshaar zindagi
paa.ī hai talḳhiyoñ se ye sarshār zindagī
har shaḳhs chāhtā hai chamakdār zindagī
jiine kā haq hamārā hai jiinā hai shaan se
kitnī bhale ho dostoñ nādār zindagī
itnā yaqīn kar le tū sach kah rahā huuñ maiñ
muddat se hai ye terī talabgār zindagī
jiitī kabhī ye martī hai ulfat kī raah meñ
kartī hai roz maut kā dīdār zindagī
marnā hai lāzmī yahāñ har shaḳhs ke liye
kis kī rahī hai dost taraf-dār zindagī
chāhā hai itnā aap ko ḳhud ko bhulā diyā
chāhat meñ ban ga.ī ye qalamkār zindagī
pai hai talKHiyon se ye sarshaar zindagi
har shaKHs chahta hai chamakdar zindagi
jine ka haq hamara hai jina hai shan se
kitni bhale ho doston nadar zindagi
itna yaqin kar le tu sach kah raha hun main
muddat se hai ye teri talabgar zindagi
jiti kabhi ye marti hai ulfat ki rah mein
karti hai roz maut ka didar zindagi
marna hai lazmi yahan har shaKHs ke liye
kis ki rahi hai dost taraf-dar zindagi
chaha hai itna aap ko KHud ko bhula diya
chahat mein ban gai ye qalamkar zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.