pakiza-pan mera nasha
pākīza-pan merā nasha
albelā fan merā nasha
lafzoñ kā siñghār karūñ
dīvāna-pan merā nasha
nargis kī āñkhoñ kā nuur
gulshan gulshan merā nasha
jannat kī hūreñ saaqī
ḳhvāb kā āñgan merā nasha
qaus-e-quzah sahbā kī mauj
huur kā dāman merā nasha
barq khule jalvoñ kī aañch
dhānī chilman merā nasha
sachchā.ī merī sahbā
zil se an-ban merā nasha
maiñ huuñ sharābī albelā
ikrām-e-zan merā nasha
rashk-e-zamīñ mere mausam
lafz kā sāvan merā nasha
dil kā yahī ik rang 'matīn'
ujlā darpan merā nasha
pakiza-pan mera nasha
albela fan mera nasha
lafzon ka singhaar karun
diwana-pan mera nasha
nargis ki aankhon ka nur
gulshan gulshan mera nasha
jannat ki huren saqi
KHwab ka aangan mera nasha
qaus-e-quzah sahba ki mauj
hur ka daman mera nasha
barq khule jalwon ki aanch
dhani chilman mera nasha
sachchai meri sahba
zil se an-ban mera nasha
main hun sharabi albela
ikram-e-zan mera nasha
rashk-e-zamin mere mausam
lafz ka sawan mera nasha
dil ka yahi ek rang 'matin'
ujla darpan mera nasha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.