Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pakizgi nahin hai ridaon mein in dinon

Khan Hasnain Aqib

pakizgi nahin hai ridaon mein in dinon

Khan Hasnain Aqib

MORE BYKhan Hasnain Aqib

    pākīzgī nahīñ hai ridāoñ meñ in dinoñ

    ma.asūmiyat rahī na adāoñ meñ in dinoñ

    raas aa ga.ī hasīnoñ ko shahroñ raushnī

    mausam bahut udaas hai gaañv meñ in dinoñ

    as.hāb-e-kahf tarah jo nek log haiñ

    gosha-nashīn haiñ vo guphāoñ meñ in dinoñ

    shaffāf rāstoñ se to lipTī huī hai dhuñd

    chhāyā huā dhuāñ hai fazāoñ meñ in dinoñ

    us chubhan se maut behtar hai ham-nashīñ

    kāñTā chubhā hai jo mire paañv meñ in dinoñ

    puna hai bamba.ī hai safar hai qayām hai

    chakkar bañdhā hai ik mire paañv meñ in dinoñ

    'āqib' bujhā bujhā lagtā hai gar to kyā

    sūraj chhupā huā hai ghaTāoñ meñ in dinoñ

    'āqib' tire ḳhulūs hai mo.ajiza ki log

    karte haiñ yaad tujh ko duāoñ meñ in dinoñ

    pakizgi nahin hai ridaon mein in dinon

    masumiyat rahi na adaon mein in dinon

    ras aa gai hasinon ko shahron ki raushni

    mausam bahut udas hai ganw mein in dinon

    ashab-e-kahf ki tarah jo nek log hain

    gosha-nashin hain wo guphaon mein in dinon

    shaffaf raston se to lipTi hui hai dhund

    chhaya hua dhuan hai fazaon mein in dinon

    us ki chubhan se maut hi behtar hai ham-nashin

    kanTa chubha hai jo mere panw mein in dinon

    puna hai bambai hai safar hai qayam hai

    chakkar bandha hai ek mere panw mein in dinon

    'aqib' bujha bujha sa tu lagta hai gar to kya

    suraj chhupa hua hai ghaTaon mein in dinon

    'aqib' tere KHulus ka hai moajiza ki log

    karte hain yaad tujh ko duaon mein in dinon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now