pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum
pāmāl-e-rāh-e-ishq haiñ ḳhilqat kī khā Thokar bhī ham
juuñ shīsha nāzuk-tar the kyā saḳhtī meñ haiñ patthar bhī ham
ā.īna dil kā saaf kar kahlā.e saiqal-gar bhī ham
apne sivā dekheñ kise andar bhī ham bāhar bhī ham
jāñ-bar ho un se kyūñki dil kahtī haiñ palkeñ yaar kī
neza bhī ham nāvak bhī ham barchhī bhī ham ḳhanjar bhī ham
ashkoñ kī daulat kyuuñ na ho sultān-e-aqlīm-e-junūñ
rakhte haiñ saath apne sadā laḌkoñ kā ik lashkar bhī ham
chunvā ke abrū mujh se kyā vo hañs ke farmāne lage
is teġh ke dam le sadā dikhlā.eñge jauhar bhī ham
kyā ḳhaak kiije mai-kashī ai sāqī-e-gulfām aa
giryāñ haiñ misl-e-abr kyā juuñ barq haiñ muztar bhī ham
kahte haiñ vo pāñ-ḳhurda-lab yāqūt ke TukḌe to the
kahlā.e lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhī ham
ai shoḳh dāñtoñ kā tire yaañ ye tasavvur hai bañdhā
din raat chashm-e-tar se yaañ barsāte haiñ gauhar bhī ham
rakhte to haiñ girdāb-e-yam par Dar hai ye ai chashm-e-tar
girdāb-e-dariyā kī tarah khāte haiñ yaañ chakkar bhī ham
jo chāhe kar jaur-o-jafā par dil kā mohr-e-dāġh se
roz-e-qayāmat kosnā dikhlā.eñge mahzar bhī ham
qad se 'nasīr' us ke sadā ik shor-e-mahshar hai bapā
chhūTe azāb-e-qabr se kyā ḳhaak yaañ mar kar bhī ham
pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum
jun shisha nazuk-tar the kya saKHti mein hain patthar bhi hum
aaina dil ka saf kar kahlae saiqal-gar bhi hum
apne siwa dekhen kise andar bhi hum bahar bhi hum
jaan-bar ho un se kyunki dil kahti hain palken yar ki
neza bhi hum nawak bhi hum barchhi bhi hum KHanjar bhi hum
ashkon ki daulat kyun na ho sultan-e-aqlim-e-junun
rakhte hain sath apne sada laDkon ka ek lashkar bhi hum
chunwa ke abru mujh se kya wo hans ke farmane lage
is tegh ke dam le sada dikhlaenge jauhar bhi hum
kya KHak kije mai-kashi ai saqi-e-gulfam aa
giryan hain misl-e-abr kya jun barq hain muztar bhi hum
kahte hain wo pan-KHurda-lab yaqut ke TukDe to the
kahlae lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhi hum
ai shoKH danton ka tere yan ye tasawwur hai bandha
din raat chashm-e-tar se yan barsate hain gauhar bhi hum
rakhte to hain girdab-e-yam par Dar hai ye ai chashm-e-tar
girdab-e-dariya ki tarah khate hain yan chakkar bhi hum
jo chahe kar jaur-o-jafa par dil ka mohr-e-dagh se
roz-e-qayamat kosna dikhlaenge mahzar bhi hum
qad se 'nasir' us ke sada ek shor-e-mahshar hai bapa
chhuTe azab-e-qabr se kya KHak yan mar kar bhi hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.