aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai

Abbas Tabish

pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    paanī aañkh meñ bhar kar laayā saktā hai

    ab bhī jaltā shahr bachāyā saktā hai

    ek mohabbat aur vo bhī nākām mohabbat

    lekin is se kaam chalāyā saktā hai

    dil par paanī piine aatī haiñ ummīdeñ

    is chashme meñ zahr milāyā saktā hai

    mujh gumnām se pūchhte haiñ farhād o majnūñ

    ishq meñ kitnā naam kamāyā saktā hai

    ye mahtāb ye raat peshānī ghaav

    aisā zaḳhm to dil par khāyā saktā hai

    phaTā-purānā ḳhvāb hai merā phir bhī 'tābish'

    is meñ apnā-āp chhupāyā saktā hai

    pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai

    ab bhi jalta shahr bachaya ja sakta hai

    ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat

    lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

    dil par pani pine aati hain ummiden

    is chashme mein zahr milaya ja sakta hai

    mujh gumnam se puchhte hain farhad o majnun

    ishq mein kitna nam kamaya ja sakta hai

    ye mahtab ye raat ki peshani ka ghaw

    aisa zaKHm to dil par khaya ja sakta hai

    phaTa-purana KHwab hai mera phir bhi 'tabish'

    is mein apna-ap chhupaya ja sakta hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abbas Tabish

    Abbas Tabish

    Source:

    Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 351)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now