pani ki tarah yar ko har rang mein dekha
paanī kī tarah yaar ko har rang meñ dekhā
mānind-e-sharar sīna-e-har-sang meñ dekhā
zulfeñ tire chehre pe ajab Dhab se khulī haiñ
lipTā huā sumbul gul-e-aurang meñ dekhā
us burqe ke uThne pe maiñ ḳhurshīd ko vārūñ
kyā chāñd sā muñh kākul-e-shab-rang meñ dekhā
de jaam chhalaktā huā ai pīr-e-ḳharābāt
daarū kā nasha ham ne tirī bang meñ dekhā
nit jang meñ hai sulh to nit sulh meñ hai jang
sulh kā maza ham ne tirī jang meñ dekhā
pani ki tarah yar ko har rang mein dekha
manind-e-sharar sina-e-har-sang mein dekha
zulfen tere chehre pe ajab Dhab se khuli hain
lipTa hua sumbul gul-e-aurang mein dekha
us burqe ke uThne pe main KHurshid ko warun
kya chand sa munh kakul-e-shab-rang mein dekha
de jam chhalakta hua ai pir-e-KHarabaat
daru ka nasha hum ne teri bang mein dekha
nit jang mein hai sulh to nit sulh mein hai jang
sulh ka maza hum ne teri jang mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.