panw gardish mein hain kitnon ke makan ke aage
paañv gardish meñ haiñ kitnoñ ke makāñ ke aage
pīchhe saaya ke yā barfāb-e-girāñ ke aage
dil to vo hai ki kare shoḳh diloñ kī tasḳhīr
ahd-e-pīrī meñ bhī har pīr-o-javāñ ke aage
ibn-e-ādam ke liye chāhiye ik ālam-e-nau
māh-o-mirrīḳh ke be-rūh jahāñ ke aage
kyā koī raah nahīñ ahl-e-taḳhayyul ke liye
ġhamza-o-ishva-o-andāz-e-butāñ ke aage
tarz-e-ib.hām-e-junūñ ho ki fusūñ-kārī ho
us kī manzil nahīñ andāz-e-bayāñ ke aage
jab zamīñ par mujhe banñā thā darinda kā raqīb
merī parvāz ho kyoñ kaun-o-makāñ ke aage
saaf goī ko sadāqat kī ziyāñ-koshī ko
kaun maane hai daroġh-e-digrāñ ke aage
ham ko masjid se huā ishq na maiḳhāne se
kaun sā jurm hai is jurm-e-girāñ ke aage
panw gardish mein hain kitnon ke makan ke aage
pichhe saya ke ya barfab-e-giran ke aage
dil to wo hai ki kare shoKH dilon ki tasKHir
ahd-e-piri mein bhi har pir-o-jawan ke aage
ibn-e-adam ke liye chahiye ek aalam-e-nau
mah-o-mirriKH ke be-ruh jahan ke aage
kya koi rah nahin ahl-e-taKHayyul ke liye
ghamza-o-ishwa-o-andaz-e-butan ke aage
tarz-e-ibham-e-junun ho ki fusun-kari ho
us ki manzil nahin andaz-e-bayan ke aage
jab zamin par mujhe banna tha darinda ka raqib
meri parwaz ho kyon kaun-o-makan ke aage
saf goi ko sadaqat ki ziyan-koshi ko
kaun mane hai darogh-e-digran ke aage
hum ko masjid se hua ishq na maiKHane se
kaun sa jurm hai is jurm-e-giran ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.