panw jab mere aasman mein the
paañv jab mere āsmān meñ the
us ghaḌī aap hī dhyān meñ the
jis ghaḌī ham bahut the pur-ummīd
us ghaḌī aap ke jahān meñ the
usrat-e-zīst ham ġharīboñ par
dhuup chhūTī to ham thakān meñ the
sair dīvār-o-dar kī kī ham ne
aish thī raat ham makān meñ the
yaad rahte to chuur ho jaate
ḳhvāb kyā kyā mire gumān meñ the
yaad hai ham bhī kār-āmad the
tiir the aur tirī kamān meñ the
kis qadar ho chalī hai be-zārī
dil meñ bhī ham the ham to jaan meñ the
panw jab mere aasman mein the
us ghaDi aap hi dhyan mein the
jis ghaDi hum bahut the pur-ummid
us ghaDi aap ke jahan mein the
usrat-e-zist hum gharibon par
dhup chhuTi to hum thakan mein the
sair diwar-o-dar ki ki hum ne
aish thi raat hum makan mein the
yaad rahte to chur ho jate
KHwab kya kya mere guman mein the
yaad hai hum bhi kar-amad the
tir the aur teri kaman mein the
kis qadar ho chali hai be-zari
dil mein bhi hum the hum to jaan mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.