panw se nikli zamin to lapata ho jaoge
paañv se niklī zamīñ to lāpatā ho jāoge
tum havā meñ mat uḌo varna havā ho jāoge
chalte chalte rāste meñ moḌ aayā muḌ ga.e
ham ne sochā bhī nahīñ thā tum judā ho jāoge
dūsroñ ke ġham ko apnā ġham banānā siikh lo
log pūjeñge tumheñ tum devtā ho jāoge
tum hañsā bolā karo but ban ke mat baiThā karo
varna bikne vaale bāzārī ḳhudā ho jāoge
soch agar badlī nahīñ to fā.eda 'ālam' nahīñ
āb-e-zamzam pī ke kyā tum pārsā ho jāoge
panw se nikli zamin to lapata ho jaoge
tum hawa mein mat uDo warna hawa ho jaoge
chalte chalte raste mein moD aaya muD gae
hum ne socha bhi nahin tha tum juda ho jaoge
dusron ke gham ko apna gham banana sikh lo
log pujenge tumhein tum dewta ho jaoge
tum hansa bola karo but ban ke mat baiTha karo
warna bikne wale bazari KHuda ho jaoge
soch agar badli nahin to faeda 'alam' nahin
aab-e-zamzam pi ke kya tum parsa ho jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.