par is dukh-dard ke dariya ko kar jaenge hum
paar is dukh-dard ke dariyā ko kar jā.eñge ham
haañ magar us pal tirī nazroñ meñ mar jā.eñge ham
haa.e re us vasl kā yaad aanā jab kahte the vo
chhoḌiyegā haath ab jaldī se ghar jā.eñge ham
dauḌnā ziine pe vo eḌī meñ moch aanā tirī
ab to in yādoñ ke bal par hī guzar jā.eñge ham
ik tujhe khone kā ġham aur zindagī ke sau sitam
koī to soche ki aise meñ bikhar jā.eñge ham
jaise bārish meñ utar jaatā hai dīvāroñ kā rang
vaise kab sochā tire dil se utar jā.eñge ham
pūchhte haiñ raah chalte har musāfir se ki ab
us ke kūche jā.eñge bhī to kidhar jā.eñge ham
ham ko rūdād-e-ġham-e-ulfat ke mausam yaad haiñ
ya.anī apnī shā.irī ḳhushbū se bhar jā.eñge ham
par is dukh-dard ke dariya ko kar jaenge hum
han magar us pal teri nazron mein mar jaenge hum
hae re us wasl ka yaad aana jab kahte the wo
chhoDiyega hath ab jaldi se ghar jaenge hum
dauDna zine pe wo eDi mein moch aana teri
ab to in yaadon ke bal par hi guzar jaenge hum
ek tujhe khone ka gham aur zindagi ke sau sitam
koi to soche ki aise mein bikhar jaenge hum
jaise barish mein utar jata hai diwaron ka rang
waise kab socha tere dil se utar jaenge hum
puchhte hain rah chalte har musafir se ki ab
us ke kuche jaenge bhi to kidhar jaenge hum
hum ko rudad-e-gham-e-ulfat ke mausam yaad hain
yani apni shairi KHushbu se bhar jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.