par utarne ke liye to KHair bilkul chahiye
paar utarne ke liye to ḳhair bilkul chāhiye
biich dariyā Dūbnā bhī ho to ik pul chāhiye
fikr to apnī bahut hai bas taġhazzul chāhiye
nāla-e-bulbul ko goyā ḳhanda-e-gul chāhiye
shaḳhsiyat meñ apnī vo pahlī sī gahrā.ī nahīñ
phir tirī jānib se thoḌā sā taġhāful chāhiye
jin ko qudrat hai taḳhayyul par unheñ dikhtā nahīñ
jin kī āñkheñ Thiik haiñ un ko taḳhayyul chāhiye
roz hamdardī jatāne ke liye aate haiñ log
maut ke baa'd ab hameñ jiinā na bilkul chāhiye
par utarne ke liye to KHair bilkul chahiye
bich dariya Dubna bhi ho to ek pul chahiye
fikr to apni bahut hai bas taghazzul chahiye
nala-e-bulbul ko goya KHanda-e-gul chahiye
shaKHsiyat mein apni wo pahli si gahrai nahin
phir teri jaanib se thoDa sa taghaful chahiye
jin ko qudrat hai taKHayyul par unhen dikhta nahin
jin ki aankhen Thik hain un ko taKHayyul chahiye
roz hamdardi jatane ke liye aate hain log
maut ke ba'd ab hamein jina na bilkul chahiye
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.