parsa tu parsai par na kar itna ghurur
pārsā tū pārsā.ī par na kar itnā ġhurūr
maiñ agar banda huuñ aasī par mirā maulā ġhafūr
mā-sivā dīdār ḳhvāhish hai mujhe kis chiiz kī
tū paḌā phirtā hai jannat DhūñDhtā hūr-o-qusūr
maiñ agarche riñd huuñ to aap ko maiñ aap ko
zohd se tere mujhe matlab na kuchh kār-e-zarūr
tere ta.iiñ ġharra hai apnī pārsā.ī zohd kā
mere ta.iiñ allāh ke fazl-o-karam se hai surūr
riñd ke mashrab par ai zāhid tabassum mat kare
bhed us kā kuchh na pāvegā tū hai ma.anī se duur
zaḳhm-e-teġh-e-abrū sah jaave na tujh se bul-havas
ek sham.a se huā thā jis ke surma koh-e-tūr
chūtaḌ uupar sar jhukānā us ko tū samjhā hai faḳhr
hai nahīñ qābil tū fazlullāh kā ai be-shu.ūr
kyā tujhe ma.alūm hai dair-o-haram kī ek raah
but-parastī us jagah aur is jagah hai yak umuur
dam ġhanīmat hai to har dam yaad meñ le dam ke ta.iiñ
zikr daa.im 'āfrīdī' ho charāġh-andar-qubūr
parsa tu parsai par na kar itna ghurur
main agar banda hun aasi par mera maula ghafur
ma-siwa didar KHwahish hai mujhe kis chiz ki
tu paDa phirta hai jannat DhunDhta hur-o-qusur
main agarche rind hun to aap ko main aap ko
zohd se tere mujhe matlab na kuchh kar-e-zarur
tere tain gharra hai apni parsai zohd ka
mere tain allah ke fazl-o-karam se hai surur
rind ke mashrab par ai zahid tabassum mat kare
bhed us ka kuchh na pawega tu hai mani se dur
zaKHm-e-tegh-e-abru sah jawe na tujh se bul-hawas
ek shama se hua tha jis ke surma koh-e-tur
chutaD upar sar jhukana us ko tu samjha hai faKHr
hai nahin qabil tu fazlullah ka ai be-shuur
kya tujhe malum hai dair-o-haram ki ek rah
but-parasti us jagah aur is jagah hai yak umur
dam ghanimat hai to har dam yaad mein le dam ke tain
zikr daim 'afridi' ho charagh-andar-qubur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.