pas aai hui manzil ke ujale dekhe
paas aa.ī huī manzil ke ujāle dekhe
jab bhī logoñ ne mire paañv ke chhāle dekhe
kitne ḳhuddār the kaT kar na gire qadmoñ par
jitne sar aap ne neze se uchhāle dekhe
maslahat naam ko chhū kar nahīñ guzrī mujh se
mere hoñToñ pe kabhī aap ne naale dekhe
chāñd ko dekhā kabhī ham ne havā.eñ chhū liiñ
kis tarah dil ke ye armān nikāle dekhe
ḳhvāb se jaag ke 'shā.ista' jab āñkheñ kholīñ
kitne uljhe hue hālāt ke jaale dekhe
pas aai hui manzil ke ujale dekhe
jab bhi logon ne mere panw ke chhaale dekhe
kitne KHuddar the kaT kar na gire qadmon par
jitne sar aap ne neze se uchhaale dekhe
maslahat nam ko chhu kar nahin guzri mujh se
mere honTon pe kabhi aap ne nale dekhe
chand ko dekha kabhi hum ne hawaen chhu lin
kis tarah dil ke ye arman nikale dekhe
KHwab se jag ke 'shaista' jab aankhen kholin
kitne uljhe hue haalat ke jale dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.