pas apne ek jaan hai sain
paas apne ik jaan hai sā.īñ
baaqī ye dīvān hai sā.īñ
jis kā koī mol na gāhak
kaisī ye dūkān hai sā.īñ
aañsū aur palak tak aa.e
aañsū agnī-bān hai sā.īñ
jogī se aur jag kī bāteñ
jogī kā apmān hai sā.īñ
maiñ jhūTā to duniyā jhūTī
merā ye īmān hai sā.īñ
jaisā huuñ jis haal meñ huuñ maiñ
allāh kā ehsān hai sā.īñ
pas apne ek jaan hai sain
baqi ye diwan hai sain
jis ka koi mol na gahak
kaisi ye dukan hai sain
aansu aur palak tak aae
aansu agni-ban hai sain
jogi se aur jag ki baaten
jogi ka apman hai sain
main jhuTa to duniya jhuTi
mera ye iman hai sain
jaisa hun jis haal mein hun main
allah ka ehsan hai sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.