pas bhi rah kar dur hai to
paas bhī rah kar duur hai to
maiñ be-bas majbūr hai tū
pyāsī akhiyāñ DhūñDh thakīñ
bol kahāñ mastūr hai tū
rog aur jog aTuuT sahī
aas yā paas zarūr hai tū
ek akelā maiñ bekal
tanhā chaknā-chūr hai tū
pyaar iqrār se joḌ sabhī
meñ duniyā dastūr hai tū
haath se duur nigah se judā
dil meñ nūr-e-zuhūr hai tū
har chaukhaT meñ nirās udaas
har āñgan ranjūr hai tū
pas bhi rah kar dur hai to
main be-bas majbur hai tu
pyasi akhiyan DhunDh thakin
bol kahan mastur hai tu
rog aur jog aTuT sahi
aas ya pas zarur hai tu
ek akela main bekal
tanha chakna-chur hai tu
pyar iqrar se joD sabhi
mein duniya dastur hai tu
hath se dur nigah se juda
dil mein nur-e-zuhur hai tu
har chaukhaT mein niras udas
har aangan ranjur hai tu
- Book : Ban Baas (Pg. 519)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.