pas-e-adab tere husn ka karte karte
pās-e-ādāb tire husn kā karte karte
tujh ko dekhā bhī kabhī hūñgā to Darte Darte
musta.id ho ke mire qatl pe aayā jallād
meñ ne ye sher paḌhā dard se marte marte
baare sad-shukr ḳhudā kā ki bar aa.ī ummīd
aarzū aaj kī yak umr se karte karte
sard-mehroñ setī paalā na paḌā thā so paḌā
ho ga.e sard dam-e-sard ke bharte bharte
manzil-e-ishq na tai hovī ba-qaul-e-'saudā'
mil ga.e ḳhaak meñ yaañ paañv ke dharte dharte
pas-e-adab tere husn ka karte karte
tujh ko dekha bhi kabhi hunga to Darte Darte
mustaid ho ke mere qatl pe aaya jallad
mein ne ye sher paDha dard se marte marte
bare sad-shukr KHuda ka ki bar aai ummid
aarzu aaj ki yak umr se karte karte
sard-mehron seti pala na paDa tha so paDa
ho gae sard dam-e-sard ke bharte bharte
manzil-e-ishq na tai howi ba-qaul-e-'sauda'
mil gae KHak mein yan panw ke dharte dharte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.