pas-e-adab mein josh-e-tamanna liye hue
pās-e-adab meñ josh-e-tamannā liye hue
maiñ bhī huuñ ik hubāb meñ dariyā liye hue
rag rag meñ aur kuchh na rahā juz ḳhayāl-e-dost
us shoḳh ko huuñ aaj sarāpā liye hue
sarmāya-e-hayāt hai hirmān-e-āshiqī
hai saath ek sūrat-e-zebā liye hue
josh-e-junūñ meñ chhūT gayā āstān-e-yār
rote haiñ muñh meñ dāman-e-sahrā liye hue
'asġhar' hujūm-e-dard-e-ġharībī meñ us kī yaad
aa.ī hai ek tilismī tamannā liye hue
pas-e-adab mein josh-e-tamanna liye hue
main bhi hun ek hubab mein dariya liye hue
rag rag mein aur kuchh na raha juz KHayal-e-dost
us shoKH ko hun aaj sarapa liye hue
sarmaya-e-hayat hai hirman-e-ashiqi
hai sath ek surat-e-zeba liye hue
josh-e-junun mein chhuT gaya aastan-e-yar
rote hain munh mein daman-e-sahra liye hue
'asghar' hujum-e-dard-e-gharibi mein us ki yaad
aai hai ek tilismi tamanna liye hue
- Book : Junoon (Pg. 25)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.