pas hone ka ishaara mil gaya
paas hone kā ishārā mil gayā
ab to jiine kā sahārā mil gayā
Dhal gayā sūraj to kuchh aisā lagā
sub.h-e-nau kā ik nazārā mil gayā
tum mile to mil ga.ī hai zindagī
marte marte bhī sahārā mil gayā
nā-umīdī ko milī ummīd ik
ik sahārā jab tumhārā mil gayā
Dūbne vaalī thī kashtī jaan kī
ab to sāhil kā kinārā mil gayā
ye zamīn-o-āsmāñ kyā haiñ 'sabā'
jab jahān-e-ishq saarā mil gayā
pas hone ka ishaara mil gaya
ab to jine ka sahaara mil gaya
Dhal gaya suraj to kuchh aisa laga
subh-e-nau ka ek nazara mil gaya
tum mile to mil gai hai zindagi
marte marte bhi sahaara mil gaya
na-umidi ko mili ummid ek
ek sahaara jab tumhaara mil gaya
Dubne wali thi kashti jaan ki
ab to sahil ka kinara mil gaya
ye zamin-o-asman kya hain 'saba'
jab jahan-e-ishq sara mil gaya
- Book : Ehsaas (Pg. 59)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Bubbles Hora Saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.