pas rah kar dekhna tera baDa arman hai
paas rah kar dekhnā terā baḌā armān hai
mujh ko sab mushkil hai pyāre tujh ko sab āsān hai
ai mire badmast mat kar tū ġhazāloñ kā shikār
le na mere dil ko chakh ye zor hī biryān hai
kyā duā dete ho miyāñ jiite raho jiite raho
zindagānī to nahīñ añgrez kā zindān hai
ek bosa mach-machā kar biich se hoñToñ ke de
phir agar dil tujh se māñgūñ jaan bhī nādān hai
jis kī nīyat meñ daġhā hai aap hotā hai ḳharāb
ḳhosha-e-gandum ko dekho kab se dātā-dān hai
aah kuchh chubhtā hai uThte baiThte siine ke biich
chiir ke dekho to ye almās kā paikān hai
mere samjhāne ko aayā hai baġhal meñ le kitāb
naak meñ laayā hai dam nāseh koī shaitān hai
'soz' kā rutba kahāñ pahuñchā hai jo terī razā
log ye kahte haiñ ab tū sāhib-e-dīvān hai
pas rah kar dekhna tera baDa arman hai
mujh ko sab mushkil hai pyare tujh ko sab aasan hai
ai mere badmast mat kar tu ghazalon ka shikar
le na mere dil ko chakh ye zor hi biryan hai
kya dua dete ho miyan jite raho jite raho
zindagani to nahin angrez ka zindan hai
ek bosa mach-macha kar bich se honTon ke de
phir agar dil tujh se mangun jaan bhi nadan hai
jis ki niyat mein dagha hai aap hota hai KHarab
KHosha-e-gandum ko dekho kab se data-dan hai
aah kuchh chubhta hai uThte baiThte sine ke bich
chir ke dekho to ye almas ka paikan hai
mere samjhane ko aaya hai baghal mein le kitab
nak mein laya hai dam naseh koi shaitan hai
'soz' ka rutba kahan pahuncha hai jo teri raza
log ye kahte hain ab tu sahib-e-diwan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.