pas the dur hue jate hain
paas the duur hue jaate haiñ
kitne majbūr hue jaate haiñ
ḳhud kiyā tark-e-ta.alluq ham se
ḳhud hī ranjūr hue jaate haiñ
ishq meñ terī qasam tere baġhair
naale dastūr hue jaate haiñ
hashr tak ab koī parde meñ rahe
ham bhī mansūr hue jaate haiñ
tujh se nisbat jo hai dīvānoñ ko
kitne maġhrūr hue jaate haiñ
pas the dur hue jate hain
kitne majbur hue jate hain
KHud kiya tark-e-talluq hum se
KHud hi ranjur hue jate hain
ishq mein teri qasam tere baghair
nale dastur hue jate hain
hashr tak ab koi parde mein rahe
hum bhi mansur hue jate hain
tujh se nisbat jo hai diwanon ko
kitne maghrur hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.