pata nahin hun aur kisi kaam se lazzat
paatā nahīñ huuñ aur kisī kaam se lazzat
jo kuchh ki maiñ paatā huuñ tire naam se lazzat
kaifiyateñ is dīda-e-maigūñ se jo pā.īñ
paa.ī na kabhī baade se aur jaam se lazzat
zāhir hai tirī nargis-e-maḳhmūr se mastī
Tapke hai tire lāl-e-mai-āshām se lazzat
paatā huuñ mazā bekalī aur dard kā aisā
paave hai koī jaise ki ārām se lazzat
rakhtā hai havas bose kī tere shah-e-'ālam'
pāvegā bahut tere is in.aam se lazzat
pata nahin hun aur kisi kaam se lazzat
jo kuchh ki main pata hun tere nam se lazzat
kaifiyaten is dida-e-maigun se jo pain
pai na kabhi baade se aur jam se lazzat
zahir hai teri nargis-e-maKHmur se masti
Tapke hai tere lal-e-mai-asham se lazzat
pata hun maza bekali aur dard ka aisa
pawe hai koi jaise ki aaram se lazzat
rakhta hai hawas bose ki tere shah-e-'alam'
pawega bahut tere is inam se lazzat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.