pate hain muddaa ko gham-e-muddaa se hum
paate haiñ mudda.ā ko ġham-e-mudda.ā se ham
sarshār haiñ tamannī-e-be-iltijā se ham
ab jis pe chāheñ rakh deñ vo ilzām-e-mai-kashī
hai mast ham se un kī adā aur adā se ham
begāngī ne terī diyā hosh-e-ġhairatī
sābit hue haiñ kis sitam-e-nā-ravā se ham
baiThe rahe vo ḳhūn-e-tamannā kiye hue
dekhā kiye unheñ nigah-e-iltijā se ham
terā shabāb hai ġham-e-ulfat kī ibtidā
ya.anī hue shurūa tirī intihā se ham
ab kis se jā ke un kī shikāyat bayāñ kareñ
un se bhī pahle ruuTh chuke haiñ ḳhudā se ham
āzād hai alā.eq-e-rasm-o-rivāj se
'maikash' ko jānte haiñ bahut ibtidā se ham
pate hain muddaa ko gham-e-muddaa se hum
sarshaar hain tamanni-e-be-iltija se hum
ab jis pe chahen rakh den wo ilzam-e-mai-kashi
hai mast hum se un ki ada aur ada se hum
begangi ne teri diya hosh-e-ghairati
sabit hue hain kis sitam-e-na-rawa se hum
baiThe rahe wo KHun-e-tamanna kiye hue
dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum
tera shabab hai gham-e-ulfat ki ibtida
yani hue shurua teri intiha se hum
ab kis se ja ke un ki shikayat bayan karen
un se bhi pahle ruTh chuke hain KHuda se hum
aazad hai alaeq-e-rasm-o-riwaj se
'maikash' ko jaante hain bahut ibtida se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.