Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paya jab se zaKHm kisi ko khone ka

Hasan Akbar Kamal

paya jab se zaKHm kisi ko khone ka

Hasan Akbar Kamal

MORE BYHasan Akbar Kamal

    paayā jab se zaḳhm kisī ko khone

    sīkhā fan ham ne be-āñsū rone

    baḌoñ ne us ko chhīn liyā hai bachchoñ se

    ḳhabar nahīñ ab kyā ho haal khilaune

    ham-safaroñ se tark-e-safar ko kahtā huuñ

    Dar hai raah meñ aisī bāteñ hone

    ro denā bhī majbūrī to hai lekin

    lutf alag hai dil meñ aañsū bone

    mīThe ḳhvāb bhī ham dekheñ gar mausam ho

    lambī gahrī mīThī nīndeñ sone

    mere liye kyā mere dam-e-āḳhir tak hai

    khel ye saarā hone aur na hone

    paya jab se zaKHm kisi ko khone ka

    sikha fan hum ne be-ansu rone ka

    baDon ne us ko chhin liya hai bachchon se

    KHabar nahin ab kya ho haal khilaune ka

    ham-safaron se tark-e-safar ko kahta hun

    Dar hai rah mein aisi baaten hone ka

    ro dena bhi majburi to hai lekin

    lutf alag hai dil mein aansu bone ka

    miThe KHwab bhi hum dekhen gar mausam ho

    lambi gahri miThi ninden sone ka

    mere liye kya mere dam-e-aKHir tak hai

    khel ye sara hone aur na hone ka

    Source :
    • Book : meyaar (Pg. 328)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now