paD jate hain kitne chhaale hathon mein
paḌ jaate haiñ kitne chhāle hāthoñ meñ
aate haiñ phir chand nivāle hāthoñ meñ
ye to aane vaalā vaqt batā.egā
kyā likkhā hai mehñdī vaale hāthoñ meñ
kuchh to apnī ḳhātir karnā paḌtā hai
patthar hoñ jab dekhe-bhāle hāthoñ meñ
ham bhī apnī koshish kā āġhāz kareñ
haath koī to aa kar Daale hāthoñ meñ
aur nahīñ to bas ik raushan sī ummīd
aisā kuchh asbāb uThā le hāthoñ meñ
paD jate hain kitne chhaale hathon mein
aate hain phir chand niwale hathon mein
ye to aane wala waqt bataega
kya likkha hai mehndi wale hathon mein
kuchh to apni KHatir karna paDta hai
patthar hon jab dekhe-bhaale hathon mein
hum bhi apni koshish ka aaghaz karen
hath koi to aa kar Dale hathon mein
aur nahin to bas ek raushan si ummid
aisa kuchh asbab uTha le hathon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.