paDa na farq koi pairahan badal ke bhi
paḌā na farq koī pairahan badal ke bhī
lahū lahū hī rahā jam ke bhī pighal ke bhī
badan ne chhoḌ diyā ruuh ne rihā na kiyā
maiñ qaid hī meñ rahā qaid se nikal ke bhī
tahoñ kā shor bhī ab satah par sunā.ī de
vo josh meñ hai to phir jism o jaañ se chhalke bhī
na.ī rutoñ meñ bhī 'sābir' udāsiyāñ na ga.iiñ
ḳhamīda-sar hai har ik shāḳh phuul phal ke bhī
paDa na farq koi pairahan badal ke bhi
lahu lahu hi raha jam ke bhi pighal ke bhi
badan ne chhoD diya ruh ne riha na kiya
main qaid hi mein raha qaid se nikal ke bhi
tahon ka shor bhi ab satah par sunai de
wo josh mein hai to phir jism o jaan se chhalke bhi
nai ruton mein bhi 'sabir' udasiyan na gain
KHamida-sar hai har ek shaKH phul phal ke bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.