paDe hain zaKHm-KHurda mehrbani mangne wale
paḌe haiñ zaḳhm-ḳhurda mehrbānī māñgne vaale
bahut nādim haiñ us se zindagānī māñgne vaale
yahāñ to sab kī ḳhvāhish ek sī hai roTiyāñ, sikke
mere yug meñ nahīñ ḳhvāb-e-javānī māñgne vaale
koī taḳhlīq ho ḳhūn-e-jigar se janm letī hai
kahānī likh nahīñ sakte kahānī māñgne vaale
lagā.eñ jo saroñ kī bāziyāñ ye kaam un kā hai
imāmat kyā kareñge jhuk ke paanī māñgne vaale
paDe hain zaKHm-KHurda mehrbani mangne wale
bahut nadim hain us se zindagani mangne wale
yahan to sab ki KHwahish ek si hai roTiyan, sikke
mere yug mein nahin KHwab-e-jawani mangne wale
koi taKHliq ho KHun-e-jigar se janm leti hai
kahani likh nahin sakte kahani mangne wale
lagaen jo saron ki baziyan ye kaam un ka hai
imamat kya karenge jhuk ke pani mangne wale
- Book : Zindagi (Pg. 75)
- Author : Manzar Bhopali
- Publication : Nasir Publicans, Urdu Bazar Krachi (P.K.) (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.