paDe jo kaam to dil se kisi ka sath na de
paḌe jo kaam to dil se kisī kā saath na de
vo aadmī nahīñ jo aadmī kā saath na de
charāġh vo hai añdheroñ ko jo kare raushan
vo kyā charāġh hai jo raushnī kā saath na de
chaman meñ ab to ye hālat hai ham-nashīnoñ kī
ki jaise koī qafas meñ kisī kā saath na de
añdherā chhā nahīñ saktā kabhī ujāle par
tumhārī zulf agar tīrgī kā saath na de
ḳhudā kare o mire dil ko toḌne vaale
tirā shabāb tirī nāzukī kā saath na de
ġham-e-zamāna se Takrā sake ye nā-mumkin
agar sharāb mirī zindagī kā saath na de
agar kahīñ unheñ be-parda dekh le 'anvar'
yaqīñ hai chāñd kabhī chāñdnī kā saath na de
paDe jo kaam to dil se kisi ka sath na de
wo aadmi nahin jo aadmi ka sath na de
charagh wo hai andheron ko jo kare raushan
wo kya charagh hai jo raushni ka sath na de
chaman mein ab to ye haalat hai ham-nashinon ki
ki jaise koi qafas mein kisi ka sath na de
andhera chha nahin sakta kabhi ujale par
tumhaari zulf agar tirgi ka sath na de
KHuda kare o mere dil ko toDne wale
tera shabab teri nazuki ka sath na de
gham-e-zamana se Takra sake ye na-mumkin
agar sharab meri zindagi ka sath na de
agar kahin unhen be-parda dekh le 'anwar'
yaqin hai chand kabhi chandni ka sath na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.