paDh na ai ham-nashin visal ka sher
paḌh na ai ham-nashīñ visāl kā sher
jis se rañgīñ ho ḳhatt-o-ḳhāl kā sher
yuuñ talāshī jo chāhe likh jaave
lek mushkil hai bol-chāl kā sher
tuul khīñchā bayān-e-nak-sik ne
maiñ likhā us ke baal baal kā sher
us ke ishq-e-kamar meñ ai yaaro
ham to kahne lage ḳhayāl kā sher
so ḳhayālī bhī aisā jis ke huzūr
gard hai mīrzā-'jalāl' kā sher
'mus.hafī' tere sher-e-dil-kash ko
ab to lagtā nahīñ kamāl kā sher
paDh na ai ham-nashin visal ka sher
jis se rangin ho KHatt-o-KHal ka sher
yun talashi jo chahe likh jawe
lek mushkil hai bol-chaal ka sher
tul khincha bayan-e-nak-sik ne
main likha us ke baal baal ka sher
us ke ishq-e-kamar mein ai yaro
hum to kahne lage KHayal ka sher
so KHayali bhi aisa jis ke huzur
gard hai mirza-'jalal' ka sher
'mushafi' tere sher-e-dil-kash ko
ab to lagta nahin kamal ka sher
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 130)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.