paDha likha jo tabqa hai
paḌhā likhā jo tabqa hai
apnī anā meñ rahtā hai
Takrā kar sayyāre se
mar jaane kā ḳhatra hai
sar se paanī guzregā
ham ko ye andāza hai
apne aap meñ gum haiñ sab
kis kā kis se rishta hai
mere zehn meñ hai mahfūz
kis kī ġhazal kā misra hai
aag ugaltā hai har dam
dhuup meñ rakkhā lahja hai
paDha likha jo tabqa hai
apni ana mein rahta hai
Takra kar sayyare se
mar jaane ka KHatra hai
sar se pani guzrega
hum ko ye andaza hai
apne aap mein gum hain sab
kis ka kis se rishta hai
mere zehn mein hai mahfuz
kis ki ghazal ka misra hai
aag ugalta hai har dam
dhup mein rakkha lahja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.