Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahaD jo khaDa hua tha KHwab-sa KHayal sa

Karamat Ali Karamat

pahaD jo khaDa hua tha KHwab-sa KHayal sa

Karamat Ali Karamat

MORE BYKaramat Ali Karamat

    pahāḌ jo khaḌā huā thā ḳhvāb-sā ḳhayāl

    bikhar gayā hai rāste meñ gard-e-māh-o-sāl

    nazar farq kahiye is ko hijr hai visāl

    uruuj kah rahe haiñ jis ko hai vahī zavāl

    tumhārā lafz sach saath de sakā na duur tak

    misāl jis de rahe ho hai vo be-misāl

    ḳhulūs ke hiran ko DhūñD kar riyā ke shahr meñ

    mire aziiz kar rahe ho tum ajab kamāl

    adāvatoñ mauj jis zamīñ pe bo ga.ī namak

    ugegā sabza-zār us jagah ye hai muhāl

    shab-e-visāl ā.īñe meñ paḌ gayā shigāf kyūñ?

    hamārā dil to saaf hai tumheñ hai kyuuñ malāl

    'karāmat'-e-hazīñ farār ho ke hāl-e-zār se

    guzishta ahd se milā to vo lagā hai haal

    pahaD jo khaDa hua tha KHwab-sa KHayal sa

    bikhar gaya hai raste mein gard-e-mah-o-sal sa

    nazar ka farq kahiye is ko hijr hai visal sa

    uruj kah rahe hain jis ko hai wahi zawal sa

    tumhaara lafz sach ka sath de saka na dur tak

    misal jis ki de rahe ho hai wo be-misal sa

    KHulus ke hiran ko DhunD kar riya ke shahr mein

    mere aziz kar rahe ho tum ajab kamal sa

    adawaton ki mauj jis zamin pe bo gai namak

    ugega sabza-zar us jagah ye hai muhaal sa

    shab-e-visal aaine mein paD gaya shigaf kyun?

    hamara dil to saf hai tumhein hai kyun malal sa

    'karamat'-e-hazin farar ho ke haal-e-zar se

    guzishta ahd se mila to wo laga hai haal sa

    Source :
    • Book : Shakhe Sanobar (Pg. 135)
    • Author : Karamat Ali Karamat
    • Publication : Kamran Publications,Odisha (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now