pahchane tu har-dam wahi har aan wahi hai
pahchāne tū har-dam vahī har aan vahī hai
jānāñ vahī ai jaan vahī jaan vahī hai
āsā.ish-e-tan rāhat-e-jāñ taaza kiye ruuh
vallāho-ma.al-ān-kamā-kān vahī hai
ka.abe meñ vahī ḳhud hai vahī dair meñ hai aap
hindū kaho yā us ko musalmān vahī hai
baḳhshe hai vahī ḳhaak ko dīn-o-dil-o-īmāñ
ġhārat-gar-e-dīn-o-dil-o-īmān vahī hai
parda hai ta.ayyun kā vahī āñkhoñ ke aage
be-parda numā.inda-e-irfān vahī hai
ham yaad kareñ kis ko farāmosh hoñ kis se
hai yaad bhī har-dam vahī nisyān vahī hai
sar teġh tale us ke to dhar dījiye kyūñkar
qātil jo vahī hai to nigahbān vahī hai
sūrat meñ hai zāhir vahī ma.anī meñ hai bātin
har shakl meñ paidā vahī pinhān vahī hai
na māya-e-duniyā hai na kuchh diin kā asbāb
mujh be-sar-o-pā kā sar-o-sāmān vahī hai
dil hai so ghar us kā hai makāñ jān-o-tan us kā
yaañ sāhab-e-ḳhāna vahī mehmān vahī hai
be-dard vahī hai vahī hai dard va-lekin
apne to 'muhib' dard kā darmān vahī hai
pahchane tu har-dam wahi har aan wahi hai
jaanan wahi ai jaan wahi jaan wahi hai
aasaish-e-tan rahat-e-jaan taza kiye ruh
wallaho-mal-an-kama-kan wahi hai
kabe mein wahi KHud hai wahi dair mein hai aap
hindu kaho ya us ko musalman wahi hai
baKHshe hai wahi KHak ko din-o-dil-o-iman
ghaarat-gar-e-din-o-dil-o-iman wahi hai
parda hai tayyun ka wahi aankhon ke aage
be-parda numainda-e-irfan wahi hai
hum yaad karen kis ko faramosh hon kis se
hai yaad bhi har-dam wahi nisyan wahi hai
sar tegh tale us ke to dhar dijiye kyunkar
qatil jo wahi hai to nigahban wahi hai
surat mein hai zahir wahi mani mein hai baatin
har shakl mein paida wahi pinhan wahi hai
na maya-e-duniya hai na kuchh din ka asbab
mujh be-sar-o-pa ka sar-o-saman wahi hai
dil hai so ghar us ka hai makan jaan-o-tan us ka
yan sahab-e-KHana wahi mehman wahi hai
be-dard wahi hai wahi hai dard wa-lekin
apne to 'muhib' dard ka darman wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.