pahla sa wo junun-e-mohabbat nahin raha
pahlā sā vo junūn-e-mohabbat nahīñ rahā
kuchh kuchh sambhal ga.e haiñ tumhārī duā se ham
yuuñ mutma.in se aa.e haiñ khā kar jigar pe choT
jaise vahāñ ga.e the usī mudda.ā se ham
aane do iltifāt meñ kuchh aur bhī kamī
mānūs ho rahe haiñ tumhārī jafā se ham
ḳhū-e-vafā milī dil-e-dard-āshnā milā
kyā rah gayā hai aur jo māñgeñ ḳhudā se ham
pā-e-talab bhī tez thā manzil bhī thī qarīb
lekin najāt pā na sake rahnumā se ham
pahla sa wo junun-e-mohabbat nahin raha
kuchh kuchh sambhal gae hain tumhaari dua se hum
yun mutmain se aae hain kha kar jigar pe choT
jaise wahan gae the usi muddaa se hum
aane do iltifat mein kuchh aur bhi kami
manus ho rahe hain tumhaari jafa se hum
KHu-e-wafa mili dil-e-dard-ashna mila
kya rah gaya hai aur jo mangen KHuda se hum
pa-e-talab bhi tez tha manzil bhi thi qarib
lekin najat pa na sake rahnuma se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.