pahla sa wo zor nahin hai mere dukh ki sadaon mein
pahlā sā vo zor nahīñ hai mere dukh kī sadāoñ meñ
shāyad paanī nahīñ rahā hai ab pyāse dariyāoñ meñ
jis bādal kī aas meñ joḌe khol liye haiñ suhāgan ne
vo parbat se Takrā kar baras chukā sahrāoñ meñ
jaane kab taḌpe aur chamke suunī raat ko phir Das jaa.e
mujh ko ek rupahlī nāgin baiThī milī hai ghaTāoñ meñ
patta to āḳhir patta thā gunjān ghane daraḳhtoñ ne
zamīñ ko tanhā chhoḌ diyā hai itnī tez havāoñ meñ
din bhar dhuup kī tarah se ham chhā.e rahte haiñ duniyā par
raat huī to simaT ke aa jaate haiñ dil kī guphāoñ meñ
khaḌe hue jo sāhil par to dil meñ palkeñ bhiig ga.iiñ
shāyad aañsū chhupe hue hoñ sub.h kī narm havāoñ meñ
ġhazal ke mandir meñ dīvāna mūrat rakh kar chalā gayā
kaun use pahle pūjegā bahas chalī devtāoñ meñ
pahla sa wo zor nahin hai mere dukh ki sadaon mein
shayad pani nahin raha hai ab pyase dariyaon mein
jis baadal ki aas mein joDe khol liye hain suhagan ne
wo parbat se Takra kar baras chuka sahraon mein
jaane kab taDpe aur chamke suni raat ko phir Das jae
mujh ko ek rupahli nagin baiThi mili hai ghaTaon mein
patta to aaKHir patta tha gunjaan ghane daraKHton ne
zamin ko tanha chhoD diya hai itni tez hawaon mein
din bhar dhup ki tarah se hum chhae rahte hain duniya par
raat hui to simaT ke aa jate hain dil ki guphaon mein
khaDe hue jo sahil par to dil mein palken bhig gain
shayad aansu chhupe hue hon subh ki narm hawaon mein
ghazal ke mandir mein diwana murat rakh kar chala gaya
kaun use pahle pujega bahas chali dewtaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.