pahle aam sa ishq kiya tha
pahle aam sā ishq kiyā thā
ḳhaas dobāra ishq kiyā thā
dekh ye āñkhoñ kī vīrānī
dekh ye kaisā ishq kiyā thā
shīrīñ hoñToñ vaalī ne bhī
ham se khārā ishq kiyā thā
ḳhuub kiyā thā jīvan dhanda
thoḌā arsa ishq kiyā thā
ham ne Dhāba hotel par bhī
pāñch sitāra ishq kiyā thā
us namkīn badan se ham ne
mīThā mīThā ishq kiyā thā
us kāfir ko DhūñD rahā huuñ
jis ne pahlā ishq kiyā thā
pahle aam sa ishq kiya tha
KHas dobara ishq kiya tha
dekh ye aankhon ki virani
dekh ye kaisa ishq kiya tha
shirin honTon wali ne bhi
hum se khaara ishq kiya tha
KHub kiya tha jiwan dhanda
thoDa arsa ishq kiya tha
hum ne Dhaba hotel par bhi
panch sitara ishq kiya tha
us namkin badan se hum ne
miTha miTha ishq kiya tha
us kafir ko DhunD raha hun
jis ne pahla ishq kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.