pahle aana-kani kar
pahle ānā-kānī kar
phir pyāre man-mānī kar
haath se ulTā kaam na le
mat barbād javānī kar
chheḌ-chhāḌ se aage baḌh
roz na giilī miyānī kar
bistar meñ pāgal ho jā
us ko bhī dīvānī kar
paalī hai kutiyā to ab
kuttoñ kī nigarānī kar
murġhe ko tandūr banā
bakre ko biryānī kar
'alvī' marne se pahle
maut se khīñchā-tānī kar
pahle aana-kani kar
phir pyare man-mani kar
hath se ulTa kaam na le
mat barbaad jawani kar
chheD-chhaD se aage baDh
roz na gili miyani kar
bistar mein pagal ho ja
us ko bhi diwani kar
pali hai kutiya to ab
kutton ki nigarani kar
murghe ko tandur bana
bakre ko biryani kar
'alwi' marne se pahle
maut se khincha-tani kar
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 121)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.