pahle ahbab ki kahani likh
pahle ahbāb kī kahānī likh
phir har ik lafz ke ma.ānī likh
kyoñ tire apne ġham-gusāroñ se
zaḳhm-ḳhurda hai zindagānī likh
ḳhūbiyāñ likh sharāb kī lekin
rūh-afzā hai sirf paanī likh
dekh kar bahr-o-bar ke hañgāme
koī dilchasp sī kahānī likh
dil ke sahrā meñ garm ashkoñ se
kaise hotī hai bāġhbānī likh
harf-e-avval se likh ke nām-e-ḳhudā
dil kī taḳhtī pe harf-e-sānī likh
vasl kī shaam ke varaq pe 'kañval'
shādmānī hī shādmānī likh
pahle ahbab ki kahani likh
phir har ek lafz ke maani likh
kyon tere apne gham-gusaron se
zaKHm-KHurda hai zindagani likh
KHubiyan likh sharab ki lekin
ruh-afza hai sirf pani likh
dekh kar bahr-o-bar ke hangame
koi dilchasp si kahani likh
dil ke sahra mein garm ashkon se
kaise hoti hai baghbani likh
harf-e-awwal se likh ke nam-e-KHuda
dil ki taKHti pe harf-e-sani likh
wasl ki sham ke waraq pe 'kanwal'
shadmani hi shadmani likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.