pahle bante the makan basne basane ke liye
pahle bante the makāñ basne basāne ke liye
ab makāñ bante haiñ duniyā ko dikhāne ke liye
ishq to ye hai tire naam pe miT jā.ūñ maiñ
kyuuñ likhūñ naam hathelī pe miTāne ke liye
terā āshiq tere qadmoñ se lipaT jā.egā
rūThne vaale tujhe aaj manāne ke liye
ġham-zada dekh ke hañstā hai zamāna 'ishrāq'
hañsnā paḌtā hai yahāñ ġham ko chhupāne ke liye
pahle bante the makan basne basane ke liye
ab makan bante hain duniya ko dikhane ke liye
ishq to ye hai tere nam pe miT jaun main
kyun likhun nam hatheli pe miTane ke liye
tera aashiq tere qadmon se lipaT jaega
ruThne wale tujhe aaj manane ke liye
gham-zada dekh ke hansta hai zamana 'ishraq'
hansna paDta hai yahan gham ko chhupane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.