pahle chingari se ek shola banata hai mujhe
pahle chiñgārī se ik shola banātā hai mujhe
phir vahī tez havāoñ se Darātā hai mujhe
bain karte hue is raat ke sannāTe meñ
dasht se ghar kī taraf kaun bulātā hai mujhe
gard hote hue chehre se milāne ke liye
ā.ina-ḳhāne meñ koī liye jāatā hai mujhe
shaam hotī hai to merā hī fasāna aksar
vo jo TuuTā huā taarā hai sunātā hai mujhe
reg-e-sahrā se ta.alluq ko baḌhā detā hai
ḳhvāb meñ jab bhī vo dariyā nazar aatā hai mujhe
pahle chingari se ek shola banata hai mujhe
phir wahi tez hawaon se Daraata hai mujhe
bain karte hue is raat ke sannaTe mein
dasht se ghar ki taraf kaun bulata hai mujhe
gard hote hue chehre se milane ke liye
aaina-KHane mein koi liye jaata hai mujhe
sham hoti hai to mera hi fasana aksar
wo jo TuTa hua tara hai sunata hai mujhe
reg-e-sahra se talluq ko baDha deta hai
KHwab mein jab bhi wo dariya nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.