pahle ehsas mein utar use
pahle ehsās meñ utaar use
phir ḳhayālāt se guzār use
koī achchhī sī job mil jaatī
ham bhī karvāte intizār use
apnī nārāzgī se Dartā huuñ
kar to saktā huuñ be-qarār use
ḳhud ko qaidī samajh rahā thā vo
maiñ ne hone diyā farār use
sab purānā delete kar deñge
phir se likkheñge ek baar use
lauTā detī hai vaqt se pahle
koī detā nahīñ udhār use
aaj tak uñgliyāñ mahaktī haiñ
chhūnā chāhā thā ek baar use
pahle ehsas mein utar use
phir KHayalat se guzar use
koi achchhi si job mil jati
hum bhi karwate intizar use
apni naraazgi se Darta hun
kar to sakta hun be-qarar use
KHud ko qaidi samajh raha tha wo
main ne hone diya farar use
sab purana delete kar denge
phir se likkhenge ek bar use
lauTa deti hai waqt se pahle
koi deta nahin udhaar use
aaj tak ungliyan mahakti hain
chhuna chaha tha ek bar use
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 56)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.