pahle hum KHud hi agar hath baDhane lag jaen
pahle ham ḳhud hī agar haath baḌhāne lag jaa.eñ
ham ko dushman bhī kaleje se lagāne lag jaa.eñ
ek pal meñ vo utar aa.e nazar se dil meñ
is safar ke liye auroñ ko zamāne lag jaa.eñ
terā dāman bhī sitāroñ se munavvar ho jaa.e
mere aañsū bhī salīqe se Thikāne lag jaa.eñ
isī ummīd pe maañ baap jiye jaate haiñ
beTī izzat se uThe beTe kamāne lag jaa.eñ
vo ḳhizāñ meñ bhī jo aa jaa.e chaman meñ 'shaidā'
ḳhushk paude bhī hasīñ phuul khilāne lag jaa.eñ
pahle hum KHud hi agar hath baDhane lag jaen
hum ko dushman bhi kaleje se lagane lag jaen
ek pal mein wo utar aae nazar se dil mein
is safar ke liye auron ko zamane lag jaen
tera daman bhi sitaron se munawwar ho jae
mere aansu bhi saliqe se Thikane lag jaen
isi ummid pe man bap jiye jate hain
beTi izzat se uThe beTe kamane lag jaen
wo KHizan mein bhi jo aa jae chaman mein 'shaida'
KHushk paude bhi hasin phul khilane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.