pahle har lafz toliye sahib
pahle har lafz toliye sāhib
phir zabāñ apnī kholiye sāhib
kuchh to hamrāz kā bharam rakhiye
band muTThī na kholiye sāhib
shaḳhsiyat kā lihāz to rakhiye
narm lahje se boliye sāhib
mere sāġhar meñ aks-e-jalva hai
dekh kar zahr gholiye sāhib
kho na jaa.e kahīñ vaqār apnā
be-zarūrat na boliye sāhib
band kiije zabān chup rahiye
aur aage na boliye sāhib
jo 'ziyā' ko charāġh-pā kar de
vo sahīfa na kholiye sāhab
pahle har lafz toliye sahib
phir zaban apni kholiye sahib
kuchh to hamraaz ka bharam rakhiye
band muTThi na kholiye sahib
shaKHsiyat ka lihaz to rakhiye
narm lahje se boliye sahib
mere saghar mein aks-e-jalwa hai
dekh kar zahr gholiye sahib
kho na jae kahin waqar apna
be-zarurat na boliye sahib
band kije zaban chup rahiye
aur aage na boliye sahib
jo 'ziya' ko charagh-pa kar de
wo sahifa na kholiye sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.