pahle hi bar-e-dosh hain sar bhi gae to kya
pahle hī bār-e-dosh haiñ sar bhī ga.e to kyā
jānāñ ham apnī jaañ se guzar bhī ga.e to kyā
jiinā matā.a-e-ḳhvesh na marnā atā-e-ġhair
jiite rahe to kyā hai jo mar bhī ga.e to kyā
dil ḳhuuñ hai ek tark-e-mohabbat ke daaġh se
rusvā.iyoñ ke daaġh utar bhī ga.e to kyā
miTTī meñ e.atibār-e-numū DhūñDhtā huuñ maiñ
bādal havā ke saath bikhar bhī ga.e to kyā
shabnam se apnī pyaas bujhātī haiñ khetiyāñ
dariyā samundaroñ meñ utar bhī ga.e to kyā
tuġhyāniyoñ kī zad meñ Thikāne sabhī ke haiñ
kashtī Dubo ke paar utar bhī ga.e to kyā
ghar meñ thā ehtiyāj kā daftar khulā huā
daftar kī ḳhaak chhān ke ghar bhī ga.e to kyā
pahle hi bar-e-dosh hain sar bhi gae to kya
jaanan hum apni jaan se guzar bhi gae to kya
jina mataa-e-KHwesh na marna ata-e-ghair
jite rahe to kya hai jo mar bhi gae to kya
dil KHun hai ek tark-e-mohabbat ke dagh se
ruswaiyon ke dagh utar bhi gae to kya
miTTi mein eatibar-e-numu DhunDhta hun main
baadal hawa ke sath bikhar bhi gae to kya
shabnam se apni pyas bujhati hain khetiyan
dariya samundaron mein utar bhi gae to kya
tughyaniyon ki zad mein Thikane sabhi ke hain
kashti Dubo ke par utar bhi gae to kya
ghar mein tha ehtiyaj ka daftar khula hua
daftar ki KHak chhan ke ghar bhi gae to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.