pahle ek mauj-e-hawa aati hai
pahle ik mauj-e-havā aatī hai
aur phir ghir ke ghaTā aatī hai
aisā sannāTā kabhī hotā hai
dil dhaḌakne kī sadā aatī hai
zulm ko dekh ke chup rahte haiñ
ham ko jiine se hayā aatī hai
maiñ to ab haath uThātā hī nahīñ
kyā tumheñ koī duā aatī hai
kis liye band kiye baiThe ho
in darīchoñ se havā aatī hai
pahle ek mauj-e-hawa aati hai
aur phir ghir ke ghaTa aati hai
aisa sannaTa kabhi hota hai
dil dhaDakne ki sada aati hai
zulm ko dekh ke chup rahte hain
hum ko jine se haya aati hai
main to ab hath uThata hi nahin
kya tumhein koi dua aati hai
kis liye band kiye baiThe ho
in darichon se hawa aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.