pahle inkar bahut karta hai
pahle inkār bahut kartā hai
ba.ad meñ pyaar bahut kartā hai
chuum kar jaltī huī peshānī
vo gunahgār bahut kartā hai
maan letā hai vo saarī bāteñ
phir bhī takrār bahut kartā hai
ghar se bāhar nahīñ aatā lekin
hār-siñghār bahut kartā hai
zard pattoñ kā sunahrā mausam
mujh ko bīmār bahut kartā hai
ek bosa ho yā aañsū 'qaisar'
chehra gulnār bahut kartā hai
pahle inkar bahut karta hai
baad mein pyar bahut karta hai
chum kar jalti hui peshani
wo gunahgar bahut karta hai
man leta hai wo sari baaten
phir bhi takrar bahut karta hai
ghar se bahar nahin aata lekin
haar-singhaar bahut karta hai
zard patton ka sunahra mausam
mujh ko bimar bahut karta hai
ek bosa ho ya aansu 'qaisar'
chehra gulnar bahut karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.